Friday 16 March 2018

Kharish ke Totkay, Desi or paidar Ilaj

Kharish ya khujli (itching) ik esa mrz hy jo insaan ko hr jga ruswa krta hy. Sab ky samny kharish ya khujli krna zra mayoob sa amal lgta hy. Magr kharish to peechaa hi nhi chorti char o na char kharish krni hi prti hy. Aur agar kharish sar mein ho tu joonein honay ka dhrka lg jata hy. Haan agr najoomi sahibaan yeh paishan goiee kr deink y apky hathon mein honay wali kharish dolat anay ka sbub lgtee hy to yeh kharish khushi ka bias bn jati hy. Kuch desi gharleu totkay ya home remedies kharish ya kujli sy nijaat ke liye pesh hain jo urdu main hain.

Jism ya kharish wali jga ko achi trha gram pani sy dho lain or khushk honay per kisi krway teil ki achi trha malish krain.kharish khtm ho jyey gi.Olive oil ya almond oil jism ki kharish ya itching k liye mofeed hain. Donon main se koi aik oil din main 2 bar istemal karen se itching ko afaqa hota hai.Aloe vera ko jism per lgny sy na sirf kharish khtm ho jati hy blky jild bhi nrm o mulaim ho jati hy.Apny jism ko neem grm pani jis mein sufaid (white)sirka(vinegar)mix hua ho min 15 minute ky lyey bhigo dein.kharish ky lyey yeh ik bhetreen ghraloo nuskha hy.Nmk ka ghiza mein istimaal aksr kharish ka sbub bnta hy.koshish krein ky nmk ka istimal km sy km krein.Baking soda or pani ka paste bna lein.kharish wali jgha py lgein.kharish khtm ho jyey gi. Ya 1 cup  baking soda nahanay wali balti main mix kar k naha lain.Vicks ko kharish wali jgha lagany sy kharish ik dm khtm ho jatee hy.Kharish yani itching amumn khuski ki wja sy hoti hy badam ka teil is mein mufeed sabit ho skta hy.iski malish krny sy kharish khtm ho jatee hy.Neem ky patay ya uska teil khrish khtm krta hy.Vitamin E walay teil kharish ka khama krtay hein.Neem ky paton ko pani mein ubaal kr us sey nhaein.kharish khtm ho jyey gi.Petroleum jelly ki ik moti layer kharish wali jgha py lgein phr isky ooper baby powder ki moti layer lgein.kharish khtm ho jyey gi.Evaporated milk ka bath lenay say bhi kharish khtm ho jti hy.Podinay ky paton or cheena ka sheera bna lein or iska rozana 1 chae ka chmch peain.kharish mein kmi waqya ho gi.Sandal ka powder or lemoo ka juice mila kr mutasra hisay py lgein.aram mehsoos ho ga – agar sandal dasteyab na ho tou sirf lemoo (lemon) bhi istemal keya ja sakta hai.Badam (almonds)ky patay(leaves)pees kr kharish walay hisy py lgein.kharish khtm ho jyey gi.Apple cinder vinegar bhi itching yani kharish ka aik gharelu ilaj hai. Chanda qatray aik roee pe laga ke mutasira jagah pe lagaen.Nhany ky baad koi bhi oil ya moisturizing cream mutasra hisay py lgany sy khushki khtm ho gi or kharish sy nijaat milay gi.Sr ki kharish bay pnah takleef ka bias bntee hy isky lyey aloe vera ky teil sys r ki malish krein.is sy khrish khtm ho jyey gi.Balon ki haftay mein 3 sy 4 baarserso ky teil ki malish krny sy khushki khtm hoti hy or kharish sy bhi nijaat miltee hy.Chambeli ki chayey mein olive oil or honey shamil krein or mutasra hisay py lgein kharish khtm ho jyy gi.Chemicals sy bnay makeup ka km sy km istimaal krein.iski jgha mineral make up ka istimal krney sy kharish khtm ho jati hy.Larkion main andam e nihani ki kharish ya khujli k liye rozana aik martaba cheene k beghair dehi baqaedgee se khaen – dehi ko motasira jagah par din main 2 martaba lagana bhi itching se nijat dala sakta hai.Din main 2 martaba neem garm pani main sirka mila kar andam e nihani dhone se bhi itching ya kharish kam hoti hai. Fori aram k liye raat ko motasira jagah per burf malain. Neez cotton ke aur dheele (loose) undwear pehne. Ziada der bethne se paseena aye tu uth kar thora chal phir lain.Motasira jagah pe kharish na karen warna kharish ya itching barh sakti hai.Sharmgha yani virgina ki kharish k liye  apple cinder ginger aik mofeed totka hai. 2 chotay chamach apple cinder ginger ko aik neem garm pani k glass main hal kar lain aur iss se sharamgah ko achi tarah dho lain. Issi tarah namak yani salt ko bhi aik glass pani main mix kar matlooba nataej hasil keye ja sakte hain. Neez lehsan aur dehi main bhi aisay khawas hote hain jo makhsoos jagah se kharish khatam karne main madad dete hain.


UMEED HAY K AP KO MERI POST ACHI LAGI HO GI.

No comments:

Post a Comment

Pakistan affairs

Pakistan affairs. • Steel Mill is in Bin Qasim • Old name of Jacobabad is Khangharh. • Kot Digi Fort is in Khairpur district. • Pesh...