Tuesday 19 June 2018

Meri ye post har koi govt servant lazmi parhy


  • A. O. A. Meri ye post har koi govt servant lazmi parhy.. Aik bht e aiham masla ha jis ki taraf ap sab ki tawajo dilwani ha wo ha masaavat (equility) pakistan mai 1 say 22 tak grade to bany huwy lekin in ka koi faida nai q k aik 16 ka teacher agr 40000 pay lay raha ha to SNGPL mai grade 16 ka banda 1 laakh say uper lay raha ha to grade ka faida? Pakistan mai jab grade system zulfiqar bhutto nay banaya to har department k aik grade ki aik jaisi pay thi for example grade 1 k employee ki pay 100 rs  thi to sab department k grade 1 k employees ki pay 100 e thi lekin ahista ahista ye sab change hota gaya aur ab ye hall ha k education mai grade 1 k employee ki pay almost 15 ya 16 hazaar ha jab k high court  mai grade 1 ki pay 35 say 40 hazaar ha matlb k 16 scale k teacher sy bhari ha high court ka grade 1 ka banda.. Is liay meri sab say request ha k apny sath hony wali na insafi ko pehchany aur ehtaj record krwaen pury mulk mai har department k same scale ki same pay honi chahye ....

No comments:

Post a Comment

Pakistan affairs

Pakistan affairs. • Steel Mill is in Bin Qasim • Old name of Jacobabad is Khangharh. • Kot Digi Fort is in Khairpur district. • Pesh...